Main ek azad chidiya hoon
Mujhe aasmaan mein udna achha lagta hai
Pedon ki daliyon par bethna achha lagta
Zameen par chugna achha lagta hai
Main sari duniya ko dekh sakti hoon
Main kissi ko koi nuksan nahin pahunchati
Main kissi ki zindagi mein rukavat nahin dalti
Main sabke bare mein sochti hoon
Lekin koi mere bare mein kyun nahin sochta?
Har taraph dhuan hai
Har taraph shor hai
Main kabhi kabhi dar jati hoon
Insaan kyun bhool jata hai bhagwan ne aur bhi zindagi banayi hai
Kuchh karo mere liye
Kuchh nahin kiya to insaan hi pachhtayega
Main to ek azad chidiya hi hoon